BHOLENÃTH SE NIRÃLÃ
Bholenãth se nirãlã, Gaurinãth se nirãlã, Koi aur nahin
Aisi bigaði banãne wãlã, Koi aur nahin
Unka damaroo dam dam bole, Agam nigam ke bhed khole
Aisã bhakton kã rakhwãlã, Koi aur nahin, Bholenãth se nirãlã...
Kãyã jab jab karavat badale, Pãp chamakate agle pichhale
Aisa damroo bajãne wãlã, Koi aur nahin, Bholenãth se nirãlã...
Tumne jag kã kasht mitãyã, Mujhko swãmi kyon bisrãyã
Ab to mujhko bachãne wãlã, Koi aur nahin, Bholenãth se nirãlã...
|