Book Flip


1
JYOT SE JYOT JAGÃTE CHALO

Jyot se jyot jagãte chalo, Prem ki gangã bahãte chalo
Rãh men ãe jo deen dukhi, Sabko gale se lagãte chalo ..
 
Jiskã na koi sangi sãthi, Ishvar hai rakhvãlã
Jo nirdhan hai jo nirbal hai, Vah hai prabhu kã pyãrã
Pyãr ke moti lutãte chalo, prem ki gangã . . .
 
Ãshã tooti mamtã ruthi, Chhoot gayã hai kinãrã
Band karo mat dvãr dayã kã, De do kuchh to sahãrã
Deep dayã kã jalãte chalo, prem ki gangã . . .
 
Chhãyã hai chãron or andherã, Bhatak gaee hain dishãyen
Mãnav ban baithã hai dãnav, Kisko vyathã sunãen
Dharti ko swarg banãte chalo, prem ki gangã . . .
 


1
AI MÃLIK TERE BANDE HAM

Ai mãlik tere bande ham, Aise hon hamãre karam
Neki par chalen, Aur badi se talen
Tãki hanste huye nikale dam, Ai mãlik tere bande ham

Ye andherã ghanã chhã rahã, Terã insãn ghabarã rahã
Ho rahã bekhabar, Kuchh na ãtã nazar
Sukh kã suraj chhipã jã rahã
Hai teri roshani men wo dam, Jo amãvas ko kar de poonam,
Neki par chalen . . .

Jab zulmon kã ho sãmanã, Tab tu hi hamen thãmanã
Wo burãi karen, Ham bhalãi bharen
Nahin badale ki ho kãmanã
Baðh uthe pyãr kã har kadam, Aur mite bair kã ye bharam,
Neki par chalen . . .

Baðã kamzor hai ãdami, Ab bhi lãkhon hain ismen kamin
Par tu jo khaðã, Hai dayãlu baðã
Teri kripã se dharti thami
Diyã tune hamen jab janam, Tu hi jhelegã ham sabke gam,
Neki par chalen . . .


3



4
TUMHI HO MÃTÃ, PITÃ TUMHI HO

Tumhi ho Mãtã, Pitã Tumhi ho
Tumhi ho bandhu, sakhã Tumhi ho
 
Tumhi ho sãthi, Tumhi sahãre
Koyee na apnã sivã Tumhãre
Tumhi ho naiyã. Tumhi khavaiyã
Tumhi ho bandhu..........
 
Jo khil sake na woh phool ham hain
Tumhãre charaño ki dhool ham hain
Dayã ki drishti sadã hi rakhnã
Tumhi ho bandhu..........
 


5
HARÎ BHAJAN BINÃ

Hari bhajan binã sukh shãntî nahin
Hari nãm binã ãnand nahin
Prem bhaktî binã udhãr nahin
Guru sewã binã nirwãn nahin
Hari bhajan binã sukh shãntî nahin
Jap dhyãn binã sanjog nahin
Prabhu darsh binã pragyãn nahin
Dayã dharm binã satya karma nahin
Bhagwãn binã koi apnã nahin
Hari nãth binã paramãm nahin
Hari bhajan binã sukh shãntî nahin


6
DEKH TERE SANSÃR KI HÃLAT

Dekh Tere sansãr ki hãlat kyã ho gei Bhagwãn
Kitnã badal gyã insãn, Kitnã badal gyã insãn
Sooraj na badalã chãnd na badalã, Na badalã re ãsamãn
Kitnã badal gyã insãn, Kitnã badal gyã insãn
 
Ãyã samya baðã beðhangã
Ãj ãdami banã laphangã
Kahin pe jhagaðã kahin pe dangã
Nãch rahã nar hokar nangã
Chhal aur kapat ke hãthon apnã bech rahã imãn
Kitnã badal .....
 
Rãm ke bhakt raheem ke bande, rachte ãj fareb ke fande
Kitne hain makkãr yeh andhe, dekh liye inke bhi dhandhe
Inki kãli kartuton se hua yeh mulk masãn
Kitnã badal .....
 
Jo ham ãpas men na jhagaðate
Bane huye kyon khel bigaðate
Kãhe lãkhon ghar yeh ujaðate
Kyon yeh bache mãn se bichhaðate
Phoot phoot kar kyon rote pyãre bãpu ke prãñ
Kitnã badal .....


7



8
ĂJ ANDHERE MEN

Ăj andhere men hain ham insăn
Gyăn kă sooraj chamakăde Bhagavăn
 
Aaaaa ...
 
Bhatak rahe ham răha dikhăde
Bhagavan răha dikhăde
Kadam kadam par kiran bichhăde
Bhagavan kiran bichhăde
In akhiyan ko Prabhu karăde
Jyoti se pehchăn
Ăj andhere men ...
 
Aaaaa ...
 
Ham to hain santăn tihări
Prabhu santăn tihări
Teri dayă ke ham adhikări
Prabhu hain ham adhikări
Duniyă hove sukhi hamări
Aisă de vardăn
Ăj andhere men ...


9
TU PYAAR KA SAAGAR HAI

Tu pyaar ka saagar hai x2
Teri ek boond ke pyaase hum x2
Lauta jo diya tune x2
Chale jaayenge jahaan se hum x2
Tu pyaar ka saagar hai ...
 
Mm mm mm mm mm
Ghaayal man ka paagal panchhi
Udne ko beqaraar x2
Pankh hai komal, aankh hai dhundli
Jaana hai saagar paar x2
Ab tu hi isse samjha x2
Raah bhoole the kahan se hum x2
Tu pyaar ka saagar hai ...
 
Mm mm mm mm mm
Idhar jhoomke gaaye zindagi
Udhar hai maut khadi x2
Koi kya jaane kahan hai seema
Uljhan aan padi x2
Kaanon mein zara keh de x2
Ke aaye kaun disha se hum x2
Tu pyaar ka saagar hai ...


10
O PAALANHAARE

O paalanhaare, nirgun aur nyaare x2
Tumre bin hamra kaunon naahin
Hamri uljhan suljhaao bhagwan
Tumre bin hamra kaunon naahin
Tumhe hamka ho sambhaale , Tumhe hamre rakhwaale
Tumre bin hamra kaunon naahin x3

Chanda mein tumhe to bhare ho chaandni
Sooraj mein ujaala tumhei se
Ye gagan hai magan, tumhe to diye ho isse taare
Bhagwan, yeh jeevan tumhe na sanwaaroge to kya koi sanwaare
O paalanhaare, nirgun aur nyaare
Tumre bin hamra kaunon naahin x2

Jo suno to kahe Prabhuji hamri hai binti
Dukhi jan ko dheeraj do, haare nahin voh kabhi dukh se
Tum nirbal ko raksha do , reh paaye nirbal sukh se
Bhakti ko shakti do x2
Jag ke jo swami ho, itni to araj suno
Hai path men andhiyaare, dedo vardaan men ujiyaare

(O paalanhaare, nirgun aur nyaare
Tumre bin hamra kaunon naahin
Hamri uljhan suljhaao Bhagwan
Tumre bin hamra kaunon naahin) x3


11
SHRI KAMAL NETRA STOTRA

Shree kamal netra kati peetămbar adhar muralee giradharam
Mukut kuńdal karal kutiyă sănvare rădhevaram
Kool Yamună dhenu ăge sakal gopiyon ke man haran
Peet vastra Garuđ văhan charań sukh nit săgaram
Karat keli kalol nishidin kunj bhavan ujăgaram
Achal amar ađol nishchal purushottam aparăparam
Deenănăth dayălu Giradhar Kans Hirańăkush haram
Gal phool mălă vishăl lochan adhik sundar keshavam
Banseedhar Vasudev chhalyă bali chhalyo hari vămanam
Jal đoobate gaj răkh leeno lankă chhedyo răvańam
Saptadveep nav khanđ chaudah bhavan keeno ek palam
Dropadee kee lăj răkhee kahăn lau upamăkaram
Deenănăth dayălu poorań karuńămay karuńă karam
Kavidatta Dăs vilăs nishidin năm japat nit năgaram
Pratham gurujee ke charań bando yasya gyăn prakăshitam
Ădi Vishńu jugădi Brahmă sevate Shiv Shankaram
Shree Krishńa Keshav Krishńa Keshav Krishńa yadupati keshavam
Shree Răm Raghuvar Răm Raghuvar Răm Raghuvar răghavam
Shree Răm Krishńa Govind Mădhav Văsudev shreevămanam
Machchh kachchh varăh Narasingh păhi Raghupati păvanam
Mathură men Keshav răya virăje Gokul băl mukundajee
Shree Vrindăvan men Madan Mohan Gopeenăth Govindajee
Dhanya Mathură dhanya Gokul jahăn Shreepati avatare
Dhanya Yamună kă neer nirmal gvăl băl sakhăvare
Navaneet năgar karat nartan Shiva viranchi man mohitam
Kălindee tat karat kreeđă băl adbhut sundaram
Gvăl băl sab sakhă virăje sang Rădhe Bhăminee
Banshee vat tat nikat Yamună muralee kee ter suhăvanee
Bhaj Rădhe Raghuvansh uttam param răj kumăr jee
Seetă ke pati bhagat nigaman jagat prăń adhăr jee
Janak răjă prań răkho dhanush băń chađhăvaheen
Satee Seetă năm jăke Shree Rămachandra var păvaheen
Janam Mathură khel Gokul Nand ke hari nandanam
Băl leelă patit păvan Devakee Vasudevakam
Shree Krishńa kalimal harań jăke jo bhaje hari charań ko
Bhakti apanee dehu mădhav bhav săgar ke tarań ko
Jagan năth Jagadeesh Swămee Shree Badreenăth Vishvambharam
Dvărikă ke Năth Shreepati Keshavam prańamămyaham
Shree Krishńa ashtapad pađhat nishidin Vishńulok sangachchhitam
Shree guru Rămănand avatăr Swămee Kavidatta Dăs samăptam


12
KABHI RĂM BANAKE KABHI SHYĂM BANAKE

Kabhi Răm banake kabhi Shyăm banake
Chale ănă Prabhuji chale ănă

Tum Răm roop men ănă
Sîtă săth leke dhanush hăth leke
Chale ănă Prabhuji chale ănă
Kabhi Răm banake ...

Tum Shyăm roop men ănă
Rădhă săth leke murli hăth leke
Chale ănă Prabhuji chale ănă
Kabhi Răm banake ...

Tum Shiv ke roop men ănă
Gauran săth leke damaru hăth leke
Chale ănă Prabhuji chale ănă
Kabhi Răm banake ...

Tum Vishnu roop men ănă
Lakshmi săth leke chakar hăth leke
Chale ănă Prabhuji chale ănă
Kabhi Răm banake ...

Tum Ganapati roop men ănă
Ridi săth leke sidi săth leke
Chale ănă Prabhuji chale ănă
Kabhi Răm banake ...


Copyright © 1996-